Sunday, April 13, 2008

Dunya ke Musafir...

Dunya ke aih musafir, manzil teri qabar hai

Tai kar raha hai jo tu, do din ka ye safar hai
Dunya ke aih musafir, manzil teri qabar hai

Jabse bani hai dunya, laqo qaror aiye
Baqi raha na kohi, mithi main sab samaye

Iss bat ko na bulho, sab ka yehi hashar hai
Dunya ke aih musafir, manzil teri qabar hai

Ankhon se tune apne, kitne janaze dekhe
Haathon se tune apne, dafnaey kitne murdey

Anjaam se tu apne, kyun itna be khabar hai?
Dunya ke aih musafir, manzil teri qabar hai

Ye unche unche mahal, kuch kaam ke nahin hai
Ye aali shaan bangle kuch kaam ke nahin hai

Do gaz zamin ka tukra, chota sa tera ghar hai
Dunya ke aih musafir, manzil teri qabar hai

Makhmal may sone wale, mithi pe sora hai hai
Sab mil rehai hai yahan par, sab aik ho re hai hain

Dono huwe barabar, maut ka yehi asar hai,
Dunya ke aih musafir, manzil teri qabar hai

Mithi ke putle tujko, mithi me hai samaana
Ek din tu yahan pay aaya, ek din yahan se hai jaana

Rehna nahin hai tujhko, jari tera safar hai
Dunya ke aih musafir, manzil teri qabar hai

Waqt hai tu apnay maula se dil lagale
Karle khuda ko razi, kuch nekiyan kamale

Saman tera yehi hai, tu saha besafar hai
Dunya ke aih musafir, manzil teri qabar hai

Tai kar raha hai jo tu, do din ka ye safar hai
Dunya ke aih musafir, manzil teri qabar hai

Friday, April 11, 2008

Words from Mufti Hussain Kamani...

Jaisi karni waisi bharni

Na maanay to kar kay dekh

Jannat hai, Jahannum bhi hai

Na maanay to mar kay dekh